zindagi heran hai

Zindagi kiu heran hai khud se ye saval karti rahti hu ..kaha par kami hoti hai life me kisi ko khush karne me Zindagi guzar jati hai par koi khush nai hota .mai bhi apni life se khush nahi hu muje sukun nahi hai ek mint ka bhi  mai hamesha dusre ko khush karne ke chakar me khud ko dukhi karti hu ...par khush koi nahi hota .....na Mai na koi or ....
Kya karu asa jo mai khud ko phale khush karo muje to apne liye koi rasta nazar nahi ata hai khush rahne ka .....pata nahi asa kiu lagta hai ki meri sari khusi mere hasbend se shuro un par hi khatm ho Gaya hai

Wo hasta hai to mai hasti hu 
Wo chup hota hai to mai chup hoti hu 
Wo bolta hai to mai bolro hu 
Phir meri life khud ke liye kya hai 
Jab ki mere hasbend ko hamse ek zarra barabar piyar nahi hai na use meri parvah hai .na usko meri zarorat hai ..na usko meri khushi se koi Mani matlb hai na mere dhukh par kabhi dhukh hota hai .na meri zarorat ko kabhi samjya hai .na meri filing ki kadar hai .21 sal se ye sab dekh rahi hu ..usko mai ek Bejan shy nazar ati hu .jiski ahmiyat bekar saman ki tarah hai ..phir bhi nai uske liye hi Marti hu ..kiu mai use do mint me chod kar ja sakti hu par mai asa nai kar sakti ..kiu ...phale to maa baap ki rusvai nazar ati hai .
Phir Allah ka khof lagta hai 

Baccho ka fuchar andhere me nazar ata hai .
Apne age phiche andhera nazar ata hai .

Kya ourat itna majbur kiu hoti hai 
Sari soch par ourat ke liye hi hai 
Mard kiu nahi sochta kiu asa
Mai har roz ek moot marti hu 
Roz khud se ladti hu ki mai apne haq ke liye bhi kiu nahi bolti hu 
Ajib kashma khash me Zindagi giri hui hai kya karu mai asa ki khud ke liye jiu koi rasta batai muje 
Allah meri zindagi ko asan karde 

Popular posts from this blog

Mera dil

meri life zindagi kabhi kisi ke liye asan nai hoti zindagi har pal ek new azmaish hoti hai koi use azmaish ko par kar jata hai koi nai kar pata koi karne ki jaddo jahad karte hai koi naakam ho jate hai koi kamyab bhi hote hai mai bhi ek asi hi life guzar rahi hu khud ko khush rakhne ki koshish karne me .khud ko janne ki koshish me .Mai kya karna chati hu .kya kar sakti hu .karna to bahut khuch chati hu par muje koi rasta nai dikhta hai .ajib muskil hai life ki rasta nazar ata hai lagta hai ki Mai ye kar sakti hu.kar lugi . kiu nai kar sakti itna to ye kaam asan hai .par such pocho to nai kar pati hu .kuch bhi nai kar pati hu . sochti hu kya mai luzar hu ya kamzoor hu .kuch kiu nai ho pata hai hamse .shayad muje sahare ki zarurat thi ya hai kisi ase ki sapot Jo muje hosla deta himmat deta .tum karo mai hu tum daro mat Mai shat hu .giro gi to kya hoga Mai shbhal luga .par koi muje asa Banda nai mila .agar meri life me asa koi hota to shayad Mai bhi aj kuch hoti kuch ban gai hoti muje ek baat apni life me samj aye ki kamzoor log ki life Ghar me hi guzar sakti hai mushkil se jinke pas hosla hota hai wahi khule asman me oud sakti hai age ki life Mai insha allah next blog me batao gi